Facts about Human Psychology in Urdu
Here, you will read human psychology facts about different
things in Urdu. This page contains funny and interesting psychological facts in
Urdu and Roman Urdu.
1. Hum Kis Cheez Ko Zyada Pasand Kartay Hain?
Yeh kehtay hain keh jis cheez kay hum zyada waqif hotay hain,
hum usay zyada pasand kartay hain. Psychology ke mutabiq waqfiyat aksar
pasandeedgi ko janam deti hai.
یہ کہتے ہیں کہ جس چیز کے ہم زیادہ واقف ہوتے ہیں، ہم اسے زیادہ پسند کرتے ہیں۔ سائیکالوجی کے مطابق واقفیت اکثر پسندیدگی کو جنم دیتی ہے۔
2. Peeth Par Halki Si Thapki Se Kya Hota Hai?
Peeth par halki si thapki aitmaad (Confidence) ko barha sakti
hai, jab kay galay lagana stress ko kam kar sakti hai.
پیٹھ پر ہلکی سی تھپکی اعتماد کو بڑھا سکتی ہے، جبکہ گلے لگانا سٹریس کو کم کر سکتا ہے۔
3. Surkh Rang Kya Paida Karta Hai?
Rang alag alag jazbaat ko janam dete hain. Neela rang aksar
sukoon se wabasta hota hai, jabkay surkh rang josh ya gussa paida kar sakta
hai.
رنگ الگ الگ جزبات کو جنم دیتے ہیں۔ نیلا رنگ اکثر سکون سے وابستہ ہوتا ہے جبکہ سُرخ رنگ جوش یا غصہ پیدا کر سکتا ہے۔
4. Konsa Kaam Zyada Yaad Rehta Hai?
Adhooray kaam mukamal hue kaam ki nisbat zyada yaad rehte
hain.
ادھورے کام مکمل ہوئے کام کی نثبت زیادہ یاد رہتے ہیں۔
5. Musbat Baaton Ka Kya Asar Hota Hai?
Apnay baray mein musbat baatein dohrana khud aitimadi ko
behtar kar sakta hai.
اپنے بارے میں مثبت باتیں دُہراناخوداعتمادی کو بہتر کر سکتا ہے۔
6. Logon Ko Konsi Cheezain Zyada Qeemti Lagti Hain?
Logon ko woh cheezain zyada qeemti lagti hain jin ke banane
mein unhon ne khud hissa liya ho. Beshak, wo cheezain buri hi kyun na hoon.
لوگوں کو وہ چیزیں زیادہ قیمتی لگتی ہیں جن کے بنانے میں انہوں نے خود حصہ لیا ہو۔ بے شک، وہ چیزیں بُری ہی کیوں نہ ہوں۔
7. Aap Ka Jism Kis Waqt Kamzor Hota Hai?
Aap ka jisam subah 3 se 4 ke darmiyan kamzor hota hai. Yehi
wo waqt hai jab zyada tar log apni neend mein mar jatay hain.
آپ کا جسم صبح تین سے چار کے درمیان کمزور ہوتا ہے۔یہی وہ وقت ہے جب زیادہ تر لوگ اپنی نیند میں مر جاتے ہیں۔
8. Kon “I Love You” Pehle Kehta Hai?
Tehqeeq ke mutabiq mard “I Love You” pehle kehta hai.
تحقیق کے مطابق، مرد “میں تم سے پیار کرتا ہوں“پہلے کہتا ہے۔
0 Comments