Mind Blowing Psychological Facts in Urdu Language

 

Mind Blowing Psychological Facts in Urdu Language


Mind Blowing Psychological Facts in Urdu

Here, you will read mind blowing psychological facts about humans in Urdu. This page contains a list of mind blowing human psychology facts in Urdu. Read and enjoy this list of psychological and funny facts!


1. Khushi doosron ke sath baantne se kya hota hai?

Khushi doosron ke sath baantne se apni khushi baṛhti hai.


خوشی دوسروں کے ساتھ بانٹنے سے اپنی خوشی بڑھتی ہے۔


2. Kisi cheez ki aadat banana mein kitnay din lagtay hain?

Aik aam shakhs ko kisi cheez ki aadat banane mein taqreeban 66 din lagte hain.


ایک عام شخص کو کسی چیز کی عادت بنانے میں تقریباً 66 دن لگتے ہیں۔


3. Kisi ke jamai lene se jamai kyon aati hai?

Kisi aur ke jamai (Yawn) lene se jamai lena aik aam baat hai, chahe aap thake hue na bhi hoon ya neend na bhi aarhi ho.


کسی اور کے جمائی لینے سے جمائی لینا ایک عام بات ہے چاہے آپ تھکے ہوئے نا بھی ہوں یا نیند نا بھی آرہی ہو۔


4. Doosron ki madad karne ka kya faida hota hai?

Agar aap doosron ki madad karte hain, toh is baat ka imkaan zyada hota hai keh wo bhi aapki madad karen gay.


اگر آپ دوسروں کی مدد کرتے ہیں تو اس بات کا امکان زیادہ ہوتا ہے کہ وہ بھی آپ کی مدد کریں گے۔


5. Pasand ka kharidari se kya taluq hota hai?

Psychology ke mutabiq logon ka kisi aise shakhs se kharidari (Shoping) karne ka zyada imkaan (Possibility) hota hai, jise woh pasand karte hoon.


سائیکولوجی کے مطابق لوگوں کا کسی ایسے شخص سے خریداری کرنے کا زیادہ امکان ہوتا ہے جسے وہ پسند کرتے ہوں۔


6. Jo chehra hum khawab mein dekhtay hain, kya hum usay kabhi dekh chuke hotay hain?

Aap ka zehan khud se chehre nahin bana sakta. Is liye har wo chehra jo aap khawab mein dekhtay hain kisi na kisi waqt aap ki zindagi se guzar chuka hai.


آپ کا زہن خود سے چہرے نہیں بنا سکتا۔ اس لیے ہر وہ چہرہ جو آپ خواب میں دیکھتے ہیں کسی نہ کسی وقت آپ کی زندگی سے گُزر چُکا ہوتا ہے۔


7. Zyada sonay se kya hota hai?

Agar aap zyada sotay hain to aap ko zyada neend ki khwahish hogi.


اگر آپ زیادہ سوتے ہیں تو آپ کو زیادہ نیند کی خواہش ہو گی۔


8. Apna banaya hua khana zyada mazedar hota hai ya doosron ka?

Kisi aur ka banaya hua khana apnay banaye hue khane se zyada mazedar lagta hai.


کسی اور کا بنایا ہوا کھانا اپنے بنائے ہوئے کھانے سے زیادہ مزیدار لگتا ہے۔


Interesting Facts about Sleep in Urdu

Post a Comment

0 Comments